Ehsaas
By Dayal Mondal
Palkon mein daba deti hoon tera saara ishq,
Yahan koi sawaal nahi uthta.
Samundar ki satah par jo nazar aata hai,
Woh uski poori sachchai nahi hota.
Samundar ki lehron ki wajah wahan hamesha bhaap rehti hai,
Jab lehrein bhi tsunami banti hain,
Bhaap bhi aansu banke nikalti hai.
Jaise samundar ke taap se uthti bhaap aur lehron ka shor,
Alag dikh kar bhi ek hi paani ke azaad roop hote hain.
Jaise zameen ki khamoshi ke neeche,
Jo dafan hua, uska wajood fossil ban jaata hai.
Jaise bahar se chahe kitni bhi roshni jala do,
Bheetar ka bojh nami sa pighalne lagta hai.
Aur jab andar ka dabaav hadh se badhta hai,
Toh wahi dard, aansu ban kar nikalta hai.
✦ ✧ ✦