Musafir
By Dayal Mondal
Natak: Musafir
Paatr (Characters):
Musafir: Ek aisa shakhs jiske pankh pehle hi kaat diye gaye hain, jo dard aur nafrat ki aag mein jal raha hai.
Chaand: Woh roshni, jo andhere se nikal kar is musafir ko phir se jeena sikhana chahti hai.
Pardaa Khulta Hai (Scene 1)
(Stage par ek taraf andhera hai. Musafir akela baitha hai, aag ki laptein (ya red light) uske chehre par pad rahi hain. Woh khud se hi baatein kar raha hai.)
Musafir: (Dard bhari aawaz mein)
"Jab khud ko dikhane ko mila hai chaand,
Tab andhere ko kyun sahan karna?
Andhere main chaand ki roshni hai khubsurti ki nishan,
Itna jaldi kyun ho jaye aur jaan-pehchaan."
(Tabhi doosri taraf se roshni aati hai. 'Chaand' dheere-dheere aage badhti hai.)
Chaand: (Pyar aur sukoon se)
"Chaand ki roshni mein humne ek doosre ko dekha,
Pehchaan liya hai magar jaan-e-jaanan abhi baaki hai."
Musafir: (Peeche hat'te hue, darr ke sath)
"Agar chaand khud aa jaye mere saamne,
Main bhi hoon mohabbat se jude hue, par jaan lun pehle khud ko.
Mohabbat ke raaste mein jaan-pehchanana zaroori hai,
Warna chaand bhi daag banake zindagi ko barbaad kar sakta hai."
Scene 2: Kamoshi aur Darr ki Jung
Musafir: (Apne dil ki kashmakash batate hue)
"Yehi darr hai mere andar bhi,
Isiliye toh main samajhna chahta hoon pehle chaand ko.
Samajhne se hi saccha pyaar hota hai,
Agar chaand ko samajhne mein asafal ho gaye,
To sirf andhera hi andhera bachega...
Hum kho jayenge andhere mein,
Pehle bata toh do apne baare mein!"
Chaand: (Muskurate hue, umeed bhari aawaz mein)
"Main hoon ek taara jise jaldi nahi,
Balki dhairya se khojti hai apne pathik ko.
Aur jab woh paaya hota hai,
Toh main usse apne aur chaand ki tarah chamkila deti hoon."
Musafir: (Umeed aur darr ke beech jhoolte hue)
"Main chahta hoon chamakna chaand ki rashmi mein,
Lekin darr hai yeh ishq na dhakel de mujhe barbadi mein!"
Chaand: (Aage badh kar uska haath thame bina, paas aate hue)
"Phir toh is darr ko samajhne ki zaroorat hai...
Kyun ishq ko darr ke roop mein dekhte ho?
Koi darr hai jo tumhe ishq karne se rokti hai?"
Scene 3: Zakhm aur Saza
Musafir: (Achanak ghusse aur dard mein cheekhte hue)
"Hai! Kyun tha woh meri zindagi se zyada pyaara?
Ab ho gayi hai woh door deke ilzaam mujhe!
Ho gaya hoon main nafrat ka insaan,
Jal raha hoon ab khud hi ke aag se!"
Chaand: (Humdardi se uske kareeb aate hue)
"Darwaza band karne se andar ke dard ko dabaya nahi jaata,
Ilzaam ko apne sar lene se zakhm aur gehra ho jaata hai.
Aasman ko choo lene ke liye pankhon ko phailana hoga!"
Musafir: (Rote hue, apni majboori bayan karte hue)
"Koshish toh ki thi humne bhi pankh phailaane ki,
Aasman mein pahunchu toh sahi,
Usse pehle hi mere pankh kaat diye gaye the!"
Chaand: (Hausla dete hue)
"Pankh tootne se udaan kaise rukti hai?
Sapne dekhne ke liye, sapne ko poora karne ke liye,
Phir se ek baar pankh phailaane ka prayaas karo.
Toote hue pankh bhi hawai dabaav se hilore khate hain,
Shayad ve abhi bhi tumhe aasman tak le ja sakein."
Scene 4: Antim Mod (Climax)
Musafir: (Niraash hokar sar jhuka leta hai)
"Umeed aur nahi bacha kuch...
Toote hue insaan ko ab chaand ki talaash hai.
Khwaab se pare hoke bhi mujhe lagta hai,
Chaand khud aayegi mere paas,
Mujhe aasman jaane ki zaroorat hi nahi hai..."
Chaand: (Pyaar se uska chehra upar uthate hue)
"Chaand ko paane ki ummeed abhi bhi baaki hai.
Is ummeed ko hawaa ke jhonkon jaisa mehsoos kar,
Apne dil ko phir ek baar naye jeevan se jod.
Chaand tumhe dhoondhegi, tumhe paayegi,
Aur phir tum dono milkar aasman ko chooenge."
Musafir: (Aakhri baar thoda sa sambhal kar, ek sawaal poochhta hai)
"Kya tum banogi mera chaand? Main ban jaunga tumhara aasman."
Chaand: (Thoda thehar kar, sachchai bayan karte hue)
"Laga jo dikhata hai woh hamesha sachcha nahi hota.
Tumne jo buraiyan batayi hain, unhe main maanti hoon,
Lekin wahin tumne jo kavita recite kari hai,
Usne dikha diya hai ki tumne apne andar ek achha insaan bhi rakha hua hai."
Musafir: (Andhere mein wapas laut'e hue, thandi saans bhar kar)
"Maar gaya hai woh achha insaan...
Ab sirf desires hi andar pala-bada hai."
(Pardaa dheere-dheere girta hai. Background mein halki si dard bhari dhun bajti hai.)