Kismat
By Dayal Mondal
Hum bhi toh apni zindagi kisi ke naam kiya tha,
Bas kismat ne saath dene se inkaar kiya tha.
Kahin khamoshi bhi ek kahani ban jaati hai,
Aur kitni hi chaahat adhuri nishani ban jaati hai.
Jise paane ki zid mein umr guzaar dete hain,
Wahi shakhs kabhi aankhon ki nami ban jaata hai.
Kismat faasle toh likh deti hai aksar,
Par mohabbat dil se kahan juda ho paati hai…
Faqeer ban kar reh jaati hai yeh chahat aakhir mein,
Jo rooh mein utar jaye, woh kahan bhulaayi jaati hai.
Kismat chahe jitne faasle likh de darmiyaan,
Kuch mohabbatein phir bhi dil se kahan mitaayi jaati hain.
Jis shakhs ki khushboo saanson mein basi ho,
Uski yaad bhala kis mausam mein chhupaayi jaati hai.
Hawa ke har ek jhonke mein tera hi zikr hota hai,
Bina dekhe bhi tujhe mehsoos karne ka ek nasha hota hai.
Kabhi chand se poochhta hoon, tu mujhse door kyun hai,
Toh woh badalon mein chhup kar bas khamosh ho jaata hai.
Shayad ishq ka dastoor hi kuch aisa hai,
Jise dil sach mein chahe…
woh aksar kismat mein nahi hota hai.
✦ ✧ ✦