Writing

Shayari · Kavita · Stories

Shayeri

Aadat

Shayari – Sad Love Shayari on Judai, Yaadein Aur Adhoora Pyaar

Aadat

By Dayal Mondal
Mujhe pata nahi kyun itna pyaar karta hoon main,
 Tu chali gayi hai, yeh jaante hue bhi itna tadapta hoon main.

Tere jaane ke baad zakhm aur gehre ho gaye hain,
  Door hokar bhi meri har gali mein bas tuhi baithi hai.

Har ek chehre mein bas tujhko hi dhoondhta rehta hoon main,
Tere bina ab toh yeh shehar hi ajnabi lagne laga hai.

Har raat ka har pal diya tha tere saath phone par,
 Ab unhi raaton mein khamosh rehta hoon apne aansuon par.

Kaise bhula doon woh saare lamhe tere saath ke,
 Meri toh har subah ab shuru hoti hai teri yaad se.

Suna tha waqt ke saath sab badal jaata hai,
Magar tum door kya hui, 
Yeh doori hi meri aadat ban gayi hai.
✦ ✧ ✦