Tum
By Dayal Mondal
Bhatakte hue naav ko kinaara na mila,
Jab tum se mile toh samundar chhota hota gaya.
Teri mehak aisi thi ki har simt madhoshi chha gayi,
Teri khoobsurati ne is bhatakti rooh ko kinaara dikha diya.
Jab lehron ki zid thi mujhe doobane ki har ghadi,
Tab tere ek-ek andaaz ne mujhe kinaara dikha diya.
Ab jo thahar gaye hain teri chaah ke kinaare par,
Toh lagta hai woh saara safar hi bas ek bhram tha.
Ab aur kya talash kare yeh bhatakti hui naav,
Jab samundar bhi ab teri baahon mein simat gaya.